Offers

Sep 6, 2014

Ye baat samajh me || Cute poem by kid



Cute Poem by a cute Kid


Must Read
Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne mujhe samajhai nahi.

kaise mithi baat karu Main?
Jab mithi koi cheez maine khai nhi.


Ye chand kyo maamu hai mera?
Jab mumy ka wo bhai nahi.


Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.

Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.


Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Mama ki Biwi jab mami hai,
Papa ki biwi kyon papi nahi?


Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.


Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?

Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne mujhe samjhai nahi
 

No comments:

Post a Comment